ai mere hasin-KHwabo
tum kahan se aae ho
kis ufuq se ubhre ho
kis shafaq se nikhre ho
kin gulon ki sohbat mein
tum ne tarbiyat pai
kis jahan se lae ho
ye jamal-o-ranai
jel to bhayanak hai
is zalil duniya mein
husn ka guzar kaisa
rang hai na nikhat hai
nur hai na jalwa hai
jabr ki hukumat hai
tum kahan se aae ho
ai mere hasin-KHwabo
main ne tum ko dekha hai
yaad ab nahin aata
shayad ek laDki ki
thartharaati palkon mein
jagmagati aankhon mein
ya kisi tabassum mein
jo naha ke nikla ho
aansuon ki shabnam se
ek humakte bachche ki
muTThiyon ke phulon par
titliyon ki yurish si
aur man ki nazron mein
saikDon umidon ke
shoKH rang gul-daste
main ne tum ko dekha hai
nannhi nannhi guDiyon mein
nachte khilaunon mein
ya rabar ki gendon mein
main ne tum ko dekha hai
ghuTniyon chale ho tum
totli zabanon se
tum ne dudh manga hai
ek shahzada tha
ek shahzadi thi
is hasin kahani par
jaane kitne bachchon ne
apne sar uThae hain
jaane kitni aankhon mein
phul muskurae hain
aur main samajhta hun
tum isi kahani ki
sar-zamin se aae ho
kuchh kisan kanyaen
sabz o surKH shishon ki
chuDiyan kalai mein
aur galaT ki chandi ki
hansuliyon se gardan mein
nim chand ke halqe
choliyon pe lahngon par
zard zard miTTi ke
zard bel-buTe se
maile maile aanchal par
baaliyon ke bose hain
un ke hath mein hansie
git gane lagte hain
jhum jhum kar paude
apna sar jhukate hain
nau-jawan laThyare
khet ki munDeron par
prem git gate hain
ai mere hasin-KHwabo
tum inhen bahaaron ki
konpalon se phuTe ho
ek kar-KHane mein
chand nau-jawanon ne
anjuman banai hai
aur is mein lenin ki
ek kitab paDhte hain
sun rahi hain diwaren
hans rahi hai tariki
nau-jawan baiThe hain
aur kitab paDhte hain
ek ek jumle par
chaunk chaunk paDte hain
ek ek fiqre par
apna sar hilate hain
gah aah bharte hain
gah muskuraate hain
main ne un ke sinon mein
ai mere hasin-KHwabo
tum ko nachte dekha
main ne tum ko dekha hai
jab siyah mehraben
aasman pe banti hain
jab sukut ki pariyan
kahkashan pe chalti hain
gesuon ki nikhat se
jab hawa mahakti hain
jab faza chahakti hai
mere garm honTon par
pyar thartharaate hain
aur meri mahbuba
apne rang-e-ariz se
bijliyan banati hai
aur meri nazron mein
ek jahan miTta hai
ek jahan banta hai
ek zamin haTti hai
ek zamin aati hai
main asir hun lekin
tum ko koi bhi qanun
qaid kar nahin sakta
sar-buland aur aazad
yun hi muskurae jao
mere dil ki duniya mein
yun hi jagmagae jao
qaid-o-band ke jallad
tum ko pa nahin sakte
lambe lambe zalim hath
tum ko chhu nahin sakte
ai mere hasin-KHwabo
Nazm
Mere KHwab
Ali Sardar Jafri