mere KHamosh KHuda
sath mere bol zara
mere andar to utar
meri tamanna mein dhaDak
main jo aankhon mein
thakan rakh ke safar karti hun
meri raaton ko mere KHwab na Das jaen kahin
mere andar wo KHayalat na bas jaen kahin
jin ko mamnua zaminon ki hikayat kaha jata hai
tirgi par jise likkhi hui wo raat kaha jata hai
jis ki qismat mein kabhi koi sitara na diya hota hai
jis ke mathe pe sawere ka
koi bosa kabhi sabt nahin ho pata
wo jo mahrum-e-tamanna hai dua ka Dar hai
mere KHamosh KHuda!
waqt be-waqt meri aankhon mein
tapte pani ki ye bhaDkan kyun hai
mere mathe pe tamanna ka koi rang nahin
phir mere hath ki rekhaon mein
uljhi hui duniya ki kahani kyun hai
wo jo atraf mere
mujh ko nazar aati nahin
mere dil mein wo udasi ki
rawani kyun hai
kaun hai wo jo mujhe
kuk ka an-dekha bulawa de kar
huk ki oT mein chhup jata hai
jo mujhe mere tasawwur ke kisi aks mein
raushan kar ke
aaina-KHane mein phir aag laga jata hai
jis ki aankhon mein
mere KHwab ke sare manzar
apne hone ki gawahi mein jiye jate hain
wo gawahi ki sahifon mein
jise main ne tilawat to kiya hai lekin
wo gawahi mere hone ki gawahi to nahin
main kahan hun
mera malum kahan hai
kis ne
mere andar mere maujud ko nabud kiya
kaun hai
jo meri rag rag mein jiye jata hai
meri duniya se mujhe mulk-badar rakhta hai
Nazm
Mere KHamosh KHuda
Bushra Ejaz