mere dil mein jangal hai
aur us mein bheDiya rahta hai
jo raat ko meri aankhon mein aa jata hai
aur sare manzar kha jata hai
subh ko suraj apne pyale se shabnam Tapkata hai
aur din ka bachcha
meri ruh ke jhule mein rakh jata hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein faKHta rahti hai
jo apne paron se mere liye
ek parcham bunti rahti hai
aur KHushbu se ek naghma likhti rahti hai
phir thak kar mere baalon mein so jati hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein jogi rahta hai
jo mere KHun se apni sharab banata hai
aur apne sitar mein chhupi hui laDki ko
pas bulata hai
phir jangal bosa ban jata hai
mere dil mein jangal hai
aur is mein bhula-bhaTka zaKHmi shahzada hai
jis ka lashkar
KHun ki dhaar pe us ke pichhe aata hai
wo apne watan ke naqshe ko zaKHmon pe bandh ke
aaKHiri KHutba deta hai
phir mar jata hai
mere dil mein jangal hai
aur us mein gahri KHamoshi hai
Nazm
Mere dil mein jangal hai
Asghar Nadeem Sayed