dil-ruba lala ho faza teri
mujh ko bhai na ek ada teri
lutf se baDh ke hai jafa teri
wah-re hindostan wafa teri
main na manun kabhi tera kahna
main na baKHshun kabhi KHata teri
bar-tar-az-KHar hai tera gulshan
zahr se kam nahin hawa teri
KHali-az-kaifiyat teri har chiz
baat har ek be maza teri
dard-e-dil mein taDap ke mar jaun
main na DhunDun kabhi shifa teri
kaun si baat teri lutf-amez
kaun si chiz dil-kusha teri
tujh ko jannat-nishan kahte hain
hum jahannam ki jaan kahte hain
tujh ko kas baat par hai naz bata
kya nahin aur mulk tere siwa
teri aab o hawa latif sahi
tujh se baDh kar spain ka KHitta
tujh ko apni zamin ka hai ghamanD
tujh se afzal kahin hai america
hasan par apne naz hai tujh ko
hasan tujh se siwa etaliya ka
tujh ko ganga ka apni dhoka hai
tu ne dekha nahin hai sin ko ja
mausiqi par tujhe hai naz bahut
is mein juz dard-o-gham dhara hai kya
falsafa tera agle waqton ka
falsafa dekh ja ke europe ka
tujh mein phir aan kya rahi baqi
teri mahfil na kuchh na kuchh saqi
han murawwat ka tujh mein nam nahin
han uKHuwwat ka tujh mein nam nahin
tujh se bad-nam ishq sa ustad
aur mohabbat ka tujh mein nam nahin
aashti sikhe tujh se aa ke koi
han KHusumat ka tujh mein nam nahin
teri har baat mein safai hai
aur kudurat ka tujh mein nam nahin
tujh ko aur hurriyat se kya nisbat
is zarurat ka tujh mein nam nahin
shad hain taire apne begane
aur shikayat ka tujh mein nam nahin
teri tahzib tujh ko maujib-e-faKHr
han jahaalat ka tujh mein nam nahin
baat duniya se hai juda teri
wah ai hindostan ada teri
tere rasm-o-riwaj ne mara
is maraz ke ilaj ne mara
teri ghairat nai kar diya barbaad
KHandanon ke laj ne mara
kya karen har ghaDi yahi hai fikr
roz ki ehtiyaj ne mara
aae din call ka hai zikr-azkar
ek zara se anaj ne mara
aur sab par waba ka ek turra
is anokhe KHiraj ne mara
baKHt bargashta aarzuen bahut
hawas-e-sim-o-aj nai mara
na karen kaam kuchh to khaen kya
roz ke kaam-kaj ne mara
tu to rahne ka kuchh maqam nahin
tujh mein insaniyat ka nam nahin
qaid tu ne kiya hasinon ko
mah-jabinon ko nazninon ko
zewar-e-ilm se rakha aari
tu ne qudrat ke in naginon ko
iKHtiyar o pasand ki ai hind
kya zarurat na thi hasinon ko
KHub pahchani tu ne qadr in ki
KHub samjha tu in KHazinon ko
kuen jhankwae nazninon se
zahr khilwaya mah-jabinon ko
Dube jate hain kaun aa ke bachae
bahr-e-hasti ke in safinon ko
tu makan tha makan ho ke diya
KHauf-e-aram in makinon ko
tujh pe tahzib tan karti hai
tujh pe ilzam KHalq dharti hai
aarzu hai tujhe hukumat ki
jah-o-sarwat ki shan-o-shaukat ki
kyun na ho tujh mein himmat-e-ali
dhum har su hai teri jurat ki
to ne kasb-e-funun-e-jang kiya
sab mein shohrat hai teri quwwat ki
qasmen khate hain log duniya mein
teri millat teri uKHuwwat ki
mulk-dari mein mulk-giri mein
wah kya paida qabiliyyat ki
tu to ustad se bhi baDh nikla
hairat-angez tu ne mehnat ki
aap aalam mein tu hai apni misal
aadamiyyat ki aur shujaat ki
ham-sari ki kasi ko tab nahin
tera aafaq mein jawab nahin
dagh dil ke kise dikhaen hum
aisa mushfiq kahan se laen hum
dil mein hai apne ham-nashin ek roz
aap ro kar tujhe rulaen hum
is tabiat ko kas tarah bahlaen
dil ko kis chiz se lagaen hum
kab talak roz ke kahen sadme
kab talak aafaten uThaen hum
zahr kyun ai falak na hum kha len
ji se apne guzar na jaen hum
jo shikayat ho kyun na lab par aae
ek dukh ho use chhupaen hum
ai tamaddun ke rahat-o-aram
hae kas tarah tum ko paen hum
log uThate hain zindagi ke maze
hum uThate hain na-KHushi ke maze
Nazm
Mera watan
Meer Sayed Nazeer Husain Nashad