chalo na aaj tumhein ek kahani sunati hun
kahani ke sath kuchh aur bhi batati hun
pyar karne se ziyaada use nibhana sikhati hun
sath hi apni zindagi batati hun
man papa bahut KHush the mere aane par
na jaane kyun phir dada dadi ka chehra nahin khila tha
jab mere haq mein papa ne unhen samjhaya
tabhi to mujhe mera hero mila tha
man ka dudh papa ka pyar
yahi to tha mera sansar
jab bhi chalne ki koshish karti
unhi ki ungli pakaDti
Dar lagne par phir unhi se ja chipakti
hansna bhi unhi se tha har bar
aur bas yahi tha mera sansar
thoDi baDi hui to school jaisa kuchh mila
mujh jaise bahut the wahan wahi kapDe wahi jute
kuchh sachche kuchh jhuThe
unhin mein se kuchh bane dost yar
aur baDa ho gaya mera sansar
yun hi main baDhti gai
sapnon ki siDhiyan chaDhti gai
hero mere super hero ban gae
baqi sab to phir zero lagne lag gae
man se bhi tha mera pyar
aur bas unhin donon se tha mera sansar
phir ek ghaDi aisi aai sab chizen ho gai parai
unhin man bap ne to phir kar di meri purwai
ek raj-kumar aaya tha ghoDi chaDh
ummiden uchhalne lagin thi baDh-chaDh
ichchhaun ko mila tha ummidon ka samundar
nai zindagi ki KHushi thi dil ke andar
piya sang nae ghar jaana tha
shadi to bas ek bahana tha
janmon ke liye milne wala piya ka pyar tha
banne wala ab wahi mera sansar tha
sasural tha ab mera naya ghar ghar jaisa nahin tha yahan kuchh par
man bap bhai nahin the idhar the to bas sas sasur dewar
pyar dular jo ghar pe milta tha wo ab gum tha
aisa laga mano shadi ka laDDu bas ek bharam tha
piya ab pati ho gaya
apne kaam mein itna kho gaya
ke shadi ke pahle ka sab moh gaya
laga jaise dil kah gaya
ke ab to bas bachche ka intizar rah gaya
phir ek din wo intizar ruka
mujhe bhi nai zindagi ka pata laga
mujh se ziyaada wo KHush hue aaKHir ye un ka ansh tha
baDhane wala un ka ye wansh tha
meri puchh hone lagi bar bar
badalne wala jo tha sab ka sansar
aa gai phir wo ek ghaDi
pata laga wo bhi thi ek laDki
itna hi to pata tha bas
phir na jaane kyun nai the sab KHush
wo puchh achanak tane ban gai
imli ki phali nim ki chhaDi ban gai
koi chahta nahin tha mujh se phir ek main aaun
sab ki zid thi main garbh pat karaun
kyun aaKHir kyun
phir ek laDki se chhinne wala us ka ghar bar tha
kya yahi mere sapno ka sansar tha
phir achanak ek hero lauT aaya
sab ko manaya sab ko samjhaya
us ne pita hone ka farz nibhaya
ab wo man-bap sang khel karti karti hai
doston sang uchhla kuda karti hai
man se loriyan rose sunti hai
aaj kahani sunne lagi hain
lage us ke sang sari duniya jagi hai
sunti hai kahani ye raat ki rani
aur sochti hai
jaane kis din wo suraj niklega
jaane kis din ye aasman khilega
jab insan se insan ka hoga sachcha mel
jab TuTenge sab moh ke dhage
aur band hoga insani duniya mein ye kaTh-putli ka khel
jab mar ki jagah lega pyar
aur sudharega mere sapnon ka sansar
aur sudharega mere sapnon ka sansar
Nazm
Mera sansar
Ankita Garg