اردو हिंदी
Mera safar qadam qadam | Shaahi Shayari
mera safar qadam qadam

Nazm

Mera safar qadam qadam

Meer Yaseen Ali khan

;

nikla hun KHud ko DhunDne is ka magar hai mujh ko gham
rah-e-junun daraaz hai mera safar qadam qadam

mujh ko KHabar nahin ki yan kitne luTe hain karwan
kitni giri hain bijliyan kitne jale hain aashiyan

chaak hai parda-e-wajud phir bhi koi mera nahin
kaun hai jis ke waste hukm-e-saza jaza nahin

aalam-e-ab-o-KHak mein mera zuhur bhi hijab
hashr mein sab ke samne mera amal hai be-naqab

meri tamam zindagi marka-hae-KHair-o-shar
meri nigah-e-arsh par main kaf-e-KHak-o-KHud-nigar

mere liye hain do jahan main hun KHuda ke waste
mera wajud aaina ahl-e-safa ke waste

jis mein ki KHub-o-zisht ka madd-o-jazar hai saf saf
manzar-e-dozaKH-o-bahisht pesh-e-nazar hai saf saf

rah-e-bad-o-rah-e-najat hain mere iKHtiyar mein
gham hain magar ye raste rang-ba-rang ghubar mein

hirs-o-hawa ki Dher par apne qadam jama ke rakh
tegh-e-zamana tez hai sar ko bacha bacha ke rakh

kar-e-gah-e-hayat mein rakh le KHud apni aabru
tera maqam-e-bandagi kaam hai tera aarzu

KHud dil-o-jigar se kar jazb-e-darun ki parwarish
karte rahen zamir ko ishq ke naghme murtaish

sun le mere 'nadim' sun 'iqbaal' ke tha dard-e-lab
ishq-e-tamam-e-mustafa aql-e-tamam bu-lahab

hasil-e-ishq-e-mustafa un se nizam-e-kaenat
un ke baghair shara-o-din but-kada-e-tasawwuraat

apni KHudi ki oT se jalwa-e-be-hijab dekh
qalb-o-nazar ko pak rakh yar ko be-naqab dekh