kabhi jo ruh pe hoti hai be-hisi tari
dimagh kaif se hota hai yak-qalam aari
pukarta hai jahan-e-fareb-kar mujhe
saman-kada nazar aata hai KHarzar mujhe
main phul chhoD ke kanTe pasand karta hun
KHazaf uTha ke tijori mein band karta hun
buland-baal jo hota nahin hai murgh-e-KHayal
qawa-e-fikr pe chhata hai mere izmehlal
kabhi jo chehra-e-ummid zard hota hai
kabhi jo shola mere dil ka zard hota hai
KHudi o KHud-nigari mujh pe chhai jati hai
durusht-KHui mere dil mein rah pati hai
mizaj-e-ishq mein hoti hai jab nami paida
dil o dimagh mein hoti hai barhami paida
to mera saqi mujhe hans ke narm karta hai
nazar mila ke mere dil ko garm karta hai
Nazm
Mera saqi
Urooj Qadri