bahut KHush thi main aaj
na hoti main kash
kisi ki zarur nazar lagi hogi
kisi ko to main KHush buri lagi hongi
kisi ne to mere aansu mange honge
kuchh to mujh se wo chahte honge
ki nazar se andhi laDki ko
KHushiyan nazar na aaen
ki phir se koi tufan is par
ghamon ka pahaD lae
aur dekho to ye nazar bhi kya KHub kheli
mujh se meri har hansi le li
zindagi chhin mujhe rah par la diya
ai nazar ye tu ne kya kiya
mujhe aisa pati de diya
jaante hain main bahut KHush thi aaj
ye din pahle aaya hota kash
main sanwar saj rahi thi
dil mein shahnai baj rahi thi
koi to raj-kumar tha
jo mujhe pane ko be-qarar tha
mujh se pyar bahut wo karta tha
mujhe khone se bhi Darta tha
is liye to
han roi thi main
par widai par bhi KHush thi
dil main ummiden kuchh thi
chehra un ka dekhna mera sapna tha
wo chehra jo ab se mera apna tha
wo chehra jise mahsus kiya karungi
na jaana wo chehra jis se main rose Dara karungi
kyunki wo chehra koi to raj-kumar tha
mujhe pane ko be-qarar tha
widai ke baad ki raat aai thi
main pahli bar pyar se kuchh yun sharmai thi
aanKHen na sahi par dil mere pas tha
us dil mein basa ab koi KHas tha
main kan laga kar sunti rahi
bin aankhen bhi rahen takti rahi
isi soch mein raina bitti gai
meri KHushiyan har soch se jitti gai
aaKHir pyar main ne paya tha
ye pyar mujhe jannat mein laya tha
biti raat ka phir intizar ruka
ek dam se mere kamre ka darwaza khula
isi beach mein kuchh aahaT hui
jis se KHushi nahin mujhe ghabrahaT hui
kaun hai mera barso purana sawal tha
tumhaara pati is jawab ka KHayal tha
aisa laga mano ye akele na the
sath mein in ke kuchh mehman the
shayad chheDne aae honge
mujh tak in ko lae honge
par nahin ye aawazen qarib thi
behad qarib
jaise wo kamre mein maujud hon
jaise KHatre mein mera wajud ho
main uThne wali thi
kuchh puchhne wali thi
ke tabhi ek hath ruka mere kandhon par
phisalne laga mere galon par mere baalon par
mujhe achchha na laga
ye pyar sachcha na laga
kuchh to gaDbaD chal rahi thi
meri ruh jal rahi thi
kuchh kahna chahti thi
kuchh jaanna chahti thi
kuchh puchhna chahti thi
main sahi thi wo akele na the
par sath mein un ke mehman na the
wo haiwan the ye haiwan the
mujhe parat dar parat wo kholte gae
main chillati rahi wo mujhe nochte gae
bari bari se meri jism shikar hua
mera dil bharosa sab tar tar hua
us ki hansi mujhe chubh rahi thi
ungliyan wo mujhe dikhi rahi thi
main dekh nahin sakti thi
par an-dekhi kaise karti
main ne KHwab bune the
kuchh lamhe chune the
un ke sath bitane ko
unhen apna banane ko
kyunki
ye wo raj-kumar tha
jo mujhe pane ko be-qarar tha
mujh se pyar bahut karta tha
mujhe khone se bhi Darta tha
is liye to
meri izzat ko tar-tar kiya
mujhe toD diya mujhe mar diya
jaane man ginti mat rokna ginti rahna
jaane man kyun maza to aa raha hai na
aise ek dulhan ki tarif ho rahi thi
aise ek dulhan ki qismat so rahi thi
aise ek raat shant ro rahi thi
aise meri suhag raat ho rahi thi
main tham se gir gai
laga unhen main mar gai
sab jaane lage
to mere pati mere pas aane lage
mujh se pyar jo karte the
mujhe khone se jo Darte the
mujhe pyar se aa kar wo kosne lage
be-jaan sharir ko phir wo nochne lage
sharab ke nashe mein wahin paDe Dolne lage
hath maroD kar
KHarab raat ko bolne lage
phir achanak ek dard ne jaise tamacha mara
na jaane kahan se himmat ka sailab aaya
himmat jo dil TuTne ki thi
himmat jo KHwab ruThne ki thi
himmat jo bhag phuTne ki thi
himmat jis ki zarurat na jaane kitni thi
main ne jhaT se dhakka diya
un ki haalat ko pakka kiya
main kamre mein ghumne lagi
shayad kuchh DhunDhne lagi
idhar udhar hath pherne lagi
pahli bar main aankh-micholi khelne lagi
kahin to kuchh mil jae
jis se meri jaan bach pae
main bhag sako yahan se bach kar kaise
par sabaq un ko sikhaun kaise
tabhi kuchh hath mein pini chiz lagi
shoalon ko jaise machis mili
main ne wahi uTha kar de mara
ek do tin
jaane man ginti mat rokna ginte rahna
jaane man kyun maza to aa raha hai na
bilkul
main ginti nahin rokun gi ginti rahungi
tere andar se KHun ban kar girti rahungi
un ki chikh sukun de rahi thi
har aah dobara ginne ka junun de rahi thi
par mujhe nikalna tha
so bach kar wahan se bhag nikli
jab aai hon yahan to bas ek chikh nikli
aankhon ke bin main ne duniya dekh li
apne hi hathon se main ne jang jit li
ab ja kar kahin nai duniya dekhungi
phir kahin ke logon se kuchh naya dekhungi
to us ke liye nikalti hun
zara pairon mein dam bharti hun
par us se pahle
jab itna suna to nam bhi sunte jao
mera kaam bhi to sunte jao
main hashiya andhi hun
khuda ki wo bandi hun
jo andhon ko laDna sikhati hun
jab koi chiz Daraati hai
un par koi musibat aati hai
main hashiya andhi hun
Nazm
Mera raj-kumar
Ankita Garg