mujhe un wadiyon mein sair ki KHwahish nahin baqi
mujhe un baadalon se raaz ki baaten nahin karni
mujhe un dhund ki chadar mein ab lipTe nahin rahna
mujhe us aalam-e-yaKH-bastagi se kuchh nahin kahna
mujhe mauhum lafzon ka shanasai nahin banna
mujhe is kar-e-pur-asrar ka dai nahin banna
main KHwabon ke darichon mein khaDa rahne se qasir hun
main zinda zindagi ki saaton ka ek shair hun
mujhe ek lahlahate jhulte paikar ki KHwahish hai
mujhe in manzaron mein aise ek manzar ki KHwahish hai
Nazm
Mera pasandida manzar
Prem Kumar Nazar