wo jo
apne ko mera harif aur muqabil samajhte hain
in se kaho
dosti zindagi ka aTal faisla
aaKHiri hukm hai
aur is farz ko Talna
ya hawas ke liye bech dena
mere dosto dushmano
jurm hai ek mazarrat-rasan jurm hai
mujh ko marghub hai zindagi
mujh ko mahbub hai maut ke raaz ko fash karti hui chandni
aur mere sath hai
mah-washon mah-paron ka wo karwan
jis ne zulmat ke lashkar ko paspa kiya
har andhere se ek chand paida kiya
aaj mera watan
mere ada-naz fikr-o-nazar ki tarah
shad aazad o aabaad rahne ki rahon pe hai
nariyal ki zamin ka nirala nikhaar
yani barg-e-KHizan-KHurda
hai sogwar
aarzu
nau-shagufta surur-e-bahaar
dil ki jaanib nigah mahtab-dar
ajnabi main nahin
nam puchho mera
main tumhaari tamanna-e-hasti hun
shaer
mera nam hai
aur kuchh bhi nahin
aur
kuchh bhi nahin
wo jo apne ko mera harif aur muqabil samajhte hain
un se kaho
dosti
zindagi ka aTal faisla
aaKHiri hukm hai
Nazm
Mera nam
Niyaz Haidar