zehn pe ek ghaTa si chhai hai
lafzon ki an-jaani bunden baras rahi hain
koi mani shayad niklen?
zaKHmi tair mere qalam se lipaT gaya
aur us ke pahlu mein ek nanha sa tir hai
tir mein ek kaghaz bhi hai
ab ke mere janm-din par
kis ne mujh ko yaad kiya hai?
main ne kaghaz khol ke dekha
kuchh bhi na tha
sirf TuTi TuTi chand lakiren thin
aise KHat aate rahte hain
nam nahin hota jin par
baat nahin banti lekin
baat banegi kaise?
jab pahlu mein KHar laga ho
aankhon mein nam aa bhi chuka ho
janam janam ke saude mein tum
sab se aage nikal gae ho
sare sathi chhuT gae
gham ke chhaale phuT gae
jine ki ummid nahin hai
phir bhi tum ab tak jite ho
umr tumhaari maut se aage nikal gai hai
sannaTe mein jina kitna mushkil hai
KHwahish ke sadme bhi nahin hain
Nazm
Mera janam din
Baqar Mehdi