KHusha ai wotaro lo main bhi ek manshur laya hun
tamannaon ki bhuri bairiyon par bor laya hun
main apni KHud-kashida bhap par aazad laDta hun
akela sare ustadon se be-ustad laDta hun
raqibon ko bharosa hoga apne karnamon par
mujhe hai faKHr apne mahir-e-fan KHan-samon par
har ek dil-band hajat-mand ko KHursand kar dunga
gali kuche ki gandi naliyon ko band kar dunga
bajaT main kam se kam rakkhunga KHarcha kar-KHanon ka
magar thamne na dunga ghalghala filmi taranon ka
meri jaan-e-hazin ka bar-e-gham halka nahin hoga!
ki jab tak har gali ke moD par nikla nahin hoga
nae uslub se juz-bandi-e-kar-e-jahan hogi
mere sab wotaron ke ghar mein ratoin ki dukan hogi
guzishta do sadi se saKHt texae gae ho tum
ab aasaish ki jaanib gher kar lae gae ho tum
karunga aur bhi patli qabaen nazninon ki
madaris mein rahengi chhuTTiyan bara mahinon ki
classen hi na jab hongi to wo kis ko paDhaega
hamare daur mein teacher faqat tanKHwah paega
riwayat-e-kasad-o-kahili chamkai jaengi!
jawan-mardon ki zulfen panw tak laTkai jaengi
hawalaten to kuchh hongi magar thane nahin honge
pareshani ke upar ye pareshane nahin honge
ye khae roTiyan meri wo noche boTiyan meri
chaman mein har taraf uDti hui langoTiyan meri
Nazm
Mera intiKHabi manshur
Syed Zameer Jafri