اردو हिंदी
Mera ghussa kahan hai? | Shaahi Shayari
mera ghussa kahan hai?

Nazm

Mera ghussa kahan hai?

Zahid Imroz

;

main aasman ke sath phaili sham ki naranji raushni hun
ya suraj ki aankh mein rengti surKH dhaar?

kya hai mera wajud?
yaum-e-id qurban hoti bheDon ka sabr

ya hiron ke taaqub mein koela koela phirti KHwahish?
main sarma mein ababilon ki murjhai ruh hun

ya sarmast daraKHton ki choTiyon mein madhosh hawa?
han main raat ki jhilmilati raushniyon ke pichhe

uljhi aaluda shikan hun
bachcha janti man ki aaKHiri chiKH meri mohabbat hai

main rah-giron ki la-parwah KHushi mein
sahma KHauf hun

main gautam ke muskuraate ruKHsaron ka lams hun
satwen aasman par ghota-zan parinde

agar meri pur-sukun ruh mein parwaz karte hain
to phir ye kaisa bojh hai

jo tumhaare chhoD jaane ke baad
is ghubar-alud sine mein jamne laga hai?

lekin mera ghussa kis sher ke badan mein jharjharaata hai?
meri aag kis uqab ki aankhon mein kapkapati hai?

jise tumhaari hansi tumhaare makkar dil
aur tumhaari dhoke-baz naf mein unDel sakun!