dhuan-dhaar taqrir jis ne abhi ki thi wo aadmi hai
jo lafzon ke pul bandhta hai
ubharte hue nau-jawanon ko wadon ki afyun de kar
usi pul pe lata hai aur gharq kar ke
palaT jata hai hasb-e-dastur aaram-gah ko
ye duniya to un shola saman logon ne aapas mein taqsim kar li
jo hathiyar ki shakl mein ranj-o-gham Dhaalte hain
ya gola-barud ke kar-KHanon ke malik hain
ya phir sana-KHwan hain un ke
hamare liye sirf nare bache hain
sanati daur ke kaj-kulahon ki dad-o-dahish ruh-parwar ho ya jaan-lewa
magar zindabaad, aafrin, marhaba, ke siwa kuchh nahin pas apne
ye sab jaanta hai hamari shujaat ki parwaz kya hai
hamari jawan-mardi ek suba-jati tassub se
ya firqa-wari fasadat se aage kuchh bhi nahin hai
futuhat-e-askandari hum ne taKHti pe likh kar miTa di hain kab ki
hamare baad zamin ke tale so rahe hain
ajaib-gharon mein laTakti hain talwaren un ki
aur un ke zarrin libaadon ko ghun kha gaya hai
zira-baktaron par clones aa gai hai
ye sab jaanta hai hamari tag-o-taz kya hai
hamare shikam gar hamare suron pe na hote
aur chehron mein aaza-e-jinsi
to hum achchhe insan bante
hamare gharon ke kam o besh sab aqabi darwaze paiham khule hain
hamare lahu mein hare lal pile bahut sare parcham khule hain
kahin se magar haq ki aawaz aati nahin hai
hamari zaban dil ki sathi nahin hai
hamare liye khokhla lafz-e-jamhuriyat hai, taqarir hain leaderon ki
hamare liye roz-namon ke safhat hain, ishtihaaraat hain nim-jinsi
hamare liye dewtaon ke but hain, KHuda ke faramin hain aur uqba
jo bad-rang hai haal ki tarah aur kore laTThe ki bu se bhari hai
hamare liye sirf roTi ki jidd-o-johd
auraton ke barhana badan ki tamanna se aage kahin kuchh nahin hai
hamari ragon mein jo tezab hai us ki shiddat kabhi kam na hogi!
Nazm
Mera dost abul-haul
Akhtar-ul-Iman