bap ki ungli thame
ek nanha sa bachcha
pahle-pahal mele mein gaya to
apni bholi-bhaali
kanchon jaisi aankhon se
ek duniya dekhi
ye kya hai aur wo kya hai
sab us ne puchha
bap ne jhuk kar
kitni sari chizon aur khelon ka
us ko nam bataya
naT ka
bazigar ka
jadugar ka
us ko kaam bataya
phir wo ghar ki jaanib lauTe
god ke jhule mein
bachche ne bap ke kandhe par sar rakkha
bap ne puchha
nind aati hai
waqt bhi ek parinda hai
uDta rahta hai
ganw mein phir ek mela aaya
buDhe bap ne kanpte hathon se
beTe ki banh ko thama
aur beTe ne
ye kya hai aur wo kya hai
jitna bhi ban paya
samjhaya
bap ne beTe ke kandhe par sar rakkha
beTe ne puchha
nind aati hai
bap ne muD ke
yaad ki pagDanDi par chalte
bite hue
sab achchhe bure
aur kaDwe miThe
lamhon ke pairon se uDti
dhul ko dekha
phir
apne beTe ko dekha
honTon par
ek halki si muskan aai
haule se bola
han!
mujh ko ab nind aati hai
Nazm
Mele
Javed Akhtar