sare din ke mel ko
jism se utarna mushkil lagta hai
sar ko din bhar ki dhul se
farigh karna
aur phir gardan ke kale daere ko
halka karna
sabun ke bulbulon se
phir aahista aahista un golaiyon ki taraf
baDhna
jin par mel kabhi nahin chaDhta
zara si tirchhi
ek taraf ko jhuki hui
sada ki chamki-chamkai
unhen main ab nahin dhoti
phir ubhre hue peT par
barson ka pasina
jame hue chewing-gum ki tarah
kabhi nahin utarta
sabun ke jhag ke bulbule tezi se
us par phuTte rahte hain
aur phir be-hangam kulhon ki
bari aati hai
kabhi jab mein chalti thi
to sar-phire palaT palaT kar
un ke utarne chaDhne ko
ghurte rahte the
naf se le kar naKHunon tak
sabun be-Dol jhag banata hai
jhag aur poron ki aankh-micholi
jo mel pasina ban kar bah jati hai
ab jism se mel utarna
mushkil lagta hai
Nazm
Mel utarna mushkil lagta hai
Azra Abbas