اردو हिंदी
Mehwar | Shaahi Shayari
mehwar

Nazm

Mehwar

Ehsan Akbar

;

qadam miTTi pe rakhti ho
ki arsh upar Thaharte hain

ki jab tum panw dharti ho
to dharti ke jigar ki dhaDkanen bhi aazmati ho

bahaaron mein bikhartin to tumhein bas DhunDte phirte
magar tum rang-o-bu ko apna pas-manzar banati ho

KHush-dili ke qahqahe ki nuqrai ghanTi ke naghmon ki khanak ke sath
sare manzaron par phail jati ho

wo saat jis mein tum dam lo
zamane ki har ek taqdim se bahar

koi phaila hua lamha Thaharti hai
wo sab goshe jahan tanhai tum ko khinch le jae

wahin to reshmi nikhat ki tanwiren bikharti hain
ye taswiren

ki jin mein tum ne dekha
log din ke haft-KHwan ko kaTte guzre

ye sab KHun thukte
zaKHm apne apne chaTte insan

faqat us sham ki aahaT pe jate hain
jahan tum ho