ek muallaq KHala mein kahin na-gahan
mehrban farsh par panw mera paDa
main ne dekha khula hai mere samne
zar-nigar o munaqqash bahut hi baDa
ek dar KHwab ka
mehrban farsh ke
marmarin pattharon se huwaida hua
aks mahtab ka
main ne hath apne aage baDhae
aur us ko chhua
ghanTiyan mere kanon mein bajne lagin
jawedan aur ghinai rifaqat ke mabain tha
mera sahra-e-jaan
ek muallaq KHala mein kahin na-gahan
main ne dekha
mere shab-numa jism par
ek sitara si barish ne lab rakh diya
narm burraq tarshe hue taq par
jitna zad-e-safar mere ham-rah tha
main ne sab rakh diya
ab main aazad tha
aur tilismin paDaw ka har ism bhi yaad tha
main ne dekha
mere chaar jaanib jhuka tha
piyala-numa aasman
mera mahram meri sans ka raaz-dan
ek muallaq KHala mein kahin na-gahan
mehrban farsh par panw mera paDa
main ne dekha khula hai mere samne
zar-nigar o munaqqash bahut hi baDa
ek dar KHwab ka
Nazm
Mehrban farsh par
Rafiq Sandelvi