jab megha aati hai
sab ko pata chul jata hai
kabhi us ki hansi se
kabhi us ki KHushbu se
kabhi kanon ke jhumke
kabhi aankh ka kajal
sab ko bata dete hain
megha kahin qarib hi hai
us ki hansi ki khanak aaj-kal
baDi gahri hai
aanchal bhi lahrae hain magar
koi jaanta nahin is sari raunaq se
pare ek dil hai
jo dhDakna band karne ko hai
sansen aksar ghuTne lagti hain
magar megha jagti hai
phir se KHud ko sanwarti hai!
Nazm
Megha
Urooj Jafri