mazdur hain ham, mazdur hain ham, majbur the ham, majbur hain hum
insaniyat ke sine mein rista hua ek nasur hain hum
daulat ki aankhon ka surma banta hai hamari haDDi se
mandir ke diye bhi jalte hain mazdur ki pighli charbi se
hum se bazar ki raunaq hai, hum se chehron ki lali hai
jalta hai hamare dil ka diya duniya ki sabha ujyali hai
daulat ki sewa karte hain Thukrae hue hum daulat ke
mazdur hain ham, mazdur hain hum sautele beTe qismat ke
sone ki chaTai tak bhi nahin, hum zat ke itne heTe hain
ye sejon par sone wale shayad bhagwan ke beTe hain
hum mein nahin koi tabdili jaDe ki pali raaton mein
baisakh ke tapte mausam mein, sawan ki bhari barsaton mein
kapDe ki zarurat hi kya hai mazduron ko, haiwanon ko
kya bahs hai, sardi garmi se lohe ke bane insanon ko
hone do charaghan mahlon mein, kya hum ko agar diwali hai
mazdur hain ham, mazdur hain ham, mazdur ki duniya kali hai
mazdur ke bachche takte hain jab hasrat se dukanon ko
mazdur ka dil deta hai dua dewtaon ko, bhagwanon ko
khaya miTTi ke bartan mein, soe to bichhaune ko tarse
muKHtaron par tanqiden hain, be-chaargiyan majburon ki
sukha chehra dahqanon ka, zaKHmi piThen mazduron ki
wo bhukon ke an-data hain, haq un ka hai be-dad karen
hum kis darwaze par jaen kis se ja kar fariyaad karen
bazar-e-tamaddun bhi un ka duniya-e-siyasat bhi un ki
mazhab ka irada bhi un ka, duniya-e-siyasat bhi un ki
paband hamein karne ke liye sau rahen nikali jati hain
qanun banae jate hain, zanjiren Dhaali jati hain
phir bhi aaghaz ki shoKHi mein anjam dikhai deta hai
hum chup hain lekin fitrat ka insaf duhai deta hai
uTh baiThe angDai le kar jo ghaflat ka matwala hai
aakash ke tewar kahte hain, tufan phir aane wala hai
ek abr ka TukDa aata hai, ek abr ka TukDa jata hai
ya KHwab-e-pareshan duniya ka baala-e-faza manDlata hai
chalti hai zamane mein aandhi shaer ke tund KHayalon ki
is tez hawa mein KHair nahin hai unchi pagDi walon ki
ehsas-e-KHudi mazlumon ka ab chaunk ke karwaT leta hai
jo waqt ki aane wala hai dil us ki aahaT leta hai
tufan ki lahren jag uThin so kar apne gahware se
kuchh tinke shoKHi karte hain sailab ke sarkash dhaare se
mindil saron se girti hai aur panw se rondi jati hai
sine mein ghaTaon ki bijli, bechain hai kaundi jati hai
manzar ki kudurat dho degi dharti ki pyas bujhaegi
mausam ke ishaare kahte hain ye badli kuchh barsaegi
ye abr jo ghir kar aata hai, gar aaj nahin kal barsega
sab khet hare ho jaenge jab TuT ke baadal barsega
Nazm
Mazdur ki bansuri
Jameel Mazhari