اردو हिंदी
Mayurka | Shaahi Shayari
mayurka

Nazm

Mayurka

Ahmad Faraz

;

mayurka ke sahilon pe kis qadar gulab the
ki KHushbuen thi be-tarah ki rang be-hisab the

tunuk-libasiyan shanawaron ki thin qayamaten
tamam sim-tan sharik-e-jashn-e-shahr-e-ab the

shua-e-mahr ki ziya se the jigar jigar badan
qamar-jamal jin ke aks-e-raushni ke bab the

khuli faza ki dhup wo ki jism sanwle kare
butan-e-azari ki mast-e-ghusl-e-aftab the

yahin pata chala ki zist husn hai bahaar hai
yahin KHabar hui ki zindagi ke dukh sarab the

yahin laga ki gardishon ke zawiye badal gae
na roz o shab ki talKHiyan na waqt ke azab the

mere tamam dost ajnabi rafaqaton mein gum
meri nazar mein tere KHadd-o-KHal tere KHwab the

main duriyon ke bawajud tere aas pas tha
mayurka ke sahilon pe main bahut udas tha