اردو हिंदी
May yaum-ul-hisab | Shaahi Shayari
may yaum-ul-hisab

Nazm

May yaum-ul-hisab

Sajida Zaidi

;

mujhe be-rahm hasti ke ziyan-KHane mein kyun bheja gaya
kyun halqa-e-zanjir mein rakh di gain be-tabiyan meri

har ek manzar meri nazron ka juya tha
farozan shaKH-saron par hujum-e-rang-o-bu

uDta hua bar-rawan
simab-pa maujen

saba ka raqs-e-be-parwa
shab-e-mahtab ka afsun

mah-o-anjum ke raqsan daere
ru-e-shafaq

taban ufuq
dariyaon ki raftar

shab ke jagte asrar
sahra ka munawwar sina-e-uryan

tilism-e-be-karan ke KHwab-gun sae
meri raaton mein misl-e-barq lahrae

sitaron ki tajalli mein tha harf-e-kun ka afsana
baDa faiyyaz tha fitrat ka kashana

kai sahra mere gam-e-tamanna ke shanasa the
wo harf-o-saut ki wadi

wo zauq-e-sher ka jada
wo irfan ke gurezan aastanon par jabin-sai

wo danish ki pazirai
wo mani ki ghaneri chhanw mein

zehn-e-rasa ka kashf wo
asrar ke parde ke pichhe

dil ki mahshar-KHez aawazen
dil ki mahshar-KHez aawazen

wo gham-ha-e-nihani se farozan zauq-e-binai
wo daman ka har ek KHar-e-mughilan se ulajhna

tul-o-arz dasht-o-dariya par kar jaana
wo har zarre mein dharti ki sada sunna

wo har qatre ke aaine mein
nur-e-husn-e-mutlaq ka larazna

dil-e-nazar harf-o-hunar ka ek ho jaana
takallum justuju raftar-o-gham ka muddaa pana

koi isa-nafas deta tha nam-e-zist nazrana
larazta iltihab aagahi se tha meri nazron ka paimana

gurezan saaton ke karwan ko kis ne pakDa hai
nazar mahw-e-maal-e-dosh-o-farda hai

kai diwar-o-saqaf-o-saiban ke munjamid chehre
kai unchi fasilen rah mein hail

kai be-faiz kawish-ha-e-tanhai
kai be-mehriyan paikar be-mafhum pur-mail

kai tiron ne meri KHema-gah-e-shaq ko cheda
kai tarkash hue is jism par KHali

hui jati hai razm-e-zindagani muzmahil ghayal
nishat-o-dard ki wo KHosha-chini chhoD di hum ne

anan-e-husn-e-imkan toD di hum ne
sukun sham hai

bujhne lage sare ayagh-e-garm-raftari
shikasta-tar hasti ki tarah larzan hain

gird-o-pesh ke shab-tab nazare
wo saat aan pahunchi hai

nigah-e-wapsin ke muntazir hain TuTte tare
mujhe shayad himala ki falak-paimaiyan aawaz deti hain

main apni maut se
in barf-zaron ki daraKHshanda mayyat mein milungi

toD dungi halqa-e-zanjir mahjuri