hamare sath jo kuchh rahzan bhi hain maKHuz
wo ahl-e-shahr ke kahne se chhuT jaenge
gawah-e-kufr hamin mein hai kaun pahchane
hamin to ek se lagte hain aaj sab chehre
hamara jurm to ru-posh bhi nahin ab ke
kisi gawah ki hajat nahin saza ke liye
dayar-e-gham ki sada-e-nahufta pahchano
hawa-e-jabr charagh-e-nafas ke dar pe hai
ye aur baat hai KHud ko chhupa raha hai magar
wali-e-shahar sambhaale hai taj kanTon ka
hujum bahar-tamasha khaDa hai galiyon mein
ye asr-e-KHun ki kifalat ka muddai hai abhi
salib DhunD rahi hai kisi masih ko phir
yahi ghaDi hai har ilzam apne sar le lo
Nazm
MawaKHiza
Aziz Qaisi