har taraf KHamosh galiyan zard-ru gunge makin
sune sune baam-o-dar aur ujDe ujDe shah-nashin
mumTiyon par ek gahri KHamushi saya-fagan
reng kar chalti hawa ki bhi sada aati nahin
is sukut-e-bekaran mein ek tilismi naznin
surKH gahre surKH lab aur chand si pili jabin
aankh ke mubham ishaare se bulati hai mujhe
ek pur-asrar ishrat ka KHazana hai wo chashm-e-dil-nashin
Nazm
Maut
Muneer Niyazi