اردو हिंदी
Maut | Shaahi Shayari
maut

Nazm

Maut

Moin Ahsan Jazbi

;

apni soi hui duniya ko jaga lun to chalun
apne gham-KHane mein ek dhum macha lun to chalun

aur ek jam-e-mai-e-talKH chaDha lun to chalun
abhi chalta hun zara KHud ko sambhaalun to chalun

jaane kab pi thi abhi tak hai mai-e-gham ka KHumar
dhundla dhundla nazar aata hai jahan-e-bedar

aandhiyan chalti hain duniya hui jati hai ghubar
aankh to mal lun zara hosh mein aa lun to chalun

wo mera sehr wo ejaz kahan hai lana
meri khoi hui aawaz kahan hai lana

mera TuTa hua wo saz kahan hai lana
ek zara git bhi is saz pe ga lun to chalun

main thaka haara tha itne mein jo aae baadal
kisi matwale ne chupke se baDha di botal

uf wo rangin pur-asrar KHayalon ke mahal
aise do chaar mahal aur bana lun to chalun

mujh se kuchh kahne ko aai hai mere dil ki jalan
kya kiya main ne zamane mein nahin jis ka chalan

aansuo tum ne to bekar bhigoya daman
apne bhige hue daman ko sukha lun to chalun

meri aankhon mein abhi tak hai mohabbat ka ghurur
mere honTon ko abhi tak hai sadaqat ka ghurur

mere mathe pe abhi tak hai sharafat ka ghurur
aise wahmon se zara KHud ko nikalun to chalun