اردو हिंदी
Maut man ki tarah sath hai | Shaahi Shayari
maut man ki tarah sath hai

Nazm

Maut man ki tarah sath hai

Fazl Tabish

;

is gali ka sira bhi kahin ki saDak par hi uglega
tarik munh phaDti

is gali mein utar jao
gahre utar jao

badbu dimaghon mein bharti hai
bhar jae gham mat karo

pip KHun aur meade ki sab gandagi
saf kapDon pe aati hai

aa jae gham mat karo
us gali mein uD kar bhaTakna hai Takraate phirna hai

kho jao Takrao gham mat karo
maut man ki tarah sath hai

maut
badbu andhera thakan pip KHun aur meade ki sab gandagi ko

nigal jaegi
aage baDho

aur gahre utar jao
gahre utar jao