chehre ruhon ki be-maegi
zehn ki tirgi ke siyah aaine
sard aaankhon ke tarik rauzan mein dubka hua ek KHala
ek sannaTa honTon ke basta makan mein hai soya hua
ruh ko jehd-e-tahsil-e-zar kha gai
zehn ki raushni na-ummidi ki zulmat mein dhundla gai
aankhen nakaamiyon ke khanDar mein makan ke tasawwur se aari huin
honT kashkol daryuza-gar ban ke lafzon ke ismat ki dukan bane
aur ab kuchh nahin
aur ab kuchh nahin
ek diwana gar KHwahish-e-zist hai
KHal-o-KHat dast-o-pa
sina-o-sar shikam aur zer-e-shikam
ek diwana gar KHwahish-e-zist aaza mein dauDi hui
ek be-mani bekar apahij hawas-e-jism ke tane-bane ko thame hue
sirf us ek lamhe ki aamad ka hai intizar
jab ki zehnon ke ruhon ke aaine
aaankhon mein dubka KHat
aur honTon se lipTa sukut
ek bar KHwahish-e-zist se kah saken
zist hum par hamesha se ilzam hai
hum na zinda rahe hain kabhi aur na zinda hain ab
ek diwana-gar KHwahish-e-marg hi thi hamare liye zindagi
Nazm
Maut ki justuju
Waheed Akhtar