maut ka intizar safed chaak se
aasman ke siyah mathe par
do nam
ek allah ka ek rasul ka
phir safed chaak
donon honTon ke darmiyan
us ka dudh shir aur shahad mila
baen jaanib muD kar
ek diwar par karl marx ka nam
us par ugi huin KHaufnak zabanen
aur
us ke atraf khule ho bijli ke tar
sanp laplapate hue
daen jaanib
ek khuli hui khiDki
ek jhonpaDi jis mein nahati hui ek
doshiza
pistanon se ubharti hui zarKHezi
kulhon par chamakti hui dhup
KHudawand zamin raushan ho rahi hai
aankhen band
TuTe hue khilaunon ki dukan
aur un mein paDe hue
langDe ghoDe aur be-sunD hathi
waqt baDa wazni hai
aur sust raftar
Nazm
Maut ka intizar safed chaak se
Aslam Emadi