arsh ki aaD mein insan bahut khel chuka
KHun-e-insan se haiwan bahut khel chuka
mor-e-be-jaan se sulaiman bahut khel chuka
waqt hai aao do-alam ko digar-gun kar den
qalb-e-giti main tabahi ke sharare bhar den
zulmat-e-kufr ko iman nahin kahte hain
sag-e-KHun-KHar ko insan nahin kahte hain
dushman-e-jaan ko nigahban nahin kahte hain
jag uThne ko hai ab KHun ka talatum dekho
malak-ul-maut ke chehre ka tabassum dekho
jaan lo qahr ka sailab kise kahte hain
na-gahan maut ka girdab kise kahte hain
qabr ke pahluon ki dab kise kahte hain
daur-e-na-shad ko ab shad kiya jaega
ruh-e-insan ko aazad kiya jaega
nala-e-be-asar allah ke bandon ke liye
sila-e-dar-o-rasan haq ke rasulon ke liye
qasr-e-shaddad ke dar band hain bhukon ke liye
phunk do qasr ko gar kun ka tamasha hai yahi
zindagi chhin lo duniya se jo duniya hai yahi
zalzalon aao dahakte hue lao aao
bijlio aao garaj-dar ghatao aao
aandhiyo aao jahannam ki hawao aao
aao ye kurra-e-napak bhasam kar Dalen
kasa-e-dahr ko mamur-e-karam kar Dalen
Nazm
Maut ka git
Makhdoom Mohiuddin