is baat se koi farq nahin paDta
ki jawan beTe ki maut kis tarah waqe hui
swimming pool mein Dub jaane se, dimagh ke sartan se
ya tez-raftar motor-bicycle ke samne diwar ke aa jaane se
is baat se bhi koi farq nahin paDta
ki marne wala zindagi se nabard-azma kisi shaera ya shaer ka beTa tha
ya raj-put nasl ka koi zinda-dil mazul shahzada
ya marne wale jawan beTe ka nam kabir, tariq ahad ya kuchh aur tha
jawan beTe ki maut
insan ko pani mein halak karne par mamur farishte ne li
ya KHushki par insani ruh qabz karne ke majaz farishte ne
aisi ya aisi kisi bhi baat se
koi farq nahin paDta
kyunki maut ka farishta tinon maqamat par
jawan beTe ko man bap se juda karne mein nakaam raha
maut ka farishta laga rahta hai din raat
apni nakaami ka intiqam lene mein
TukDe TukDe karta rahta hai
man bap ka dil
jaise kaTa jata hai machine ke tez dhaar बà¥à¤²à¥à¤¡ se
maweshiyon ka chaara
koDe marta rahta hai man bap ki zaKHmi ruh ko barhana kar ke
ijad karta rahta hai nit-nae tariqe
man bap ke bache-khuche dil ko aziyyat pahunchane ke
maut ka farishta daKHil ho jata hai baghair ijazat
kisi shaer ke bed-room mein raat KHarab karne
majbur kar deta hai shaer ko
zaKHmon se karahti nazm likhne par
Nazm
Maut ka farishta
Shaukat Abidi