us ko albam dikhate hue
main batlaya
ye dekhiye ye mera dost hai
aaj kal ghaaliban kenya mein
rabar ki kisi farm mein unche ohde pe hai
us ne chehre ko lamba bana kar kaha
main use jaanta hun
kai bar do-chaar paig us ke hamrah bhi pi chuka hun
ye chhe sal pahle mujhe kenya mein mila tha
magar us mulaqat ke dusre hi baras
rail ke hadse mein ye mara gaya tha!
faza dafatan dard se bhar gai
samajh mein na aata tha main us ki Dhaaras bandhaun
ki KHud chand taskin ke lafz chahun
to aisa bhi hota hai
ye shaKHs jo mere albam ke is kale panne ke albam pe baiTha hua muskuraata hai
aaj tak mere nazdik zinda tha ye
aur mere tain do ghaDi pesh-tar hi mara hai
to kya maut ka dusra nam hai aagahi!
Nazm
Maut ka dusra nam
Muzaffar Hanfi