ajib lamha hai
maut ka bhi
na KHauf sathi
na aas hamdam
ajib shai hai ye aadmi bhi
jo maut ke Dar se kanpta hai
jo aas ki Dor thamta hai
use KHabar hai ki maut kya hai
magar wo phir bhi
fasil-e-bim-o-raja ka qaidi
KHud apni karni se bhagta hai
use KHabar hai ki maut jine ka aasra hai
use KHabar hai
ajib lamha hai maut ka bhi
na aas hamdam
na KHauf sathi
Nazm
Maut
Farooq Nazki