mausam-e-sarma ki barish ka ye pahla roz hai
dhund hai atraf mein suraj ke KHwab-e-garm par
main ki jo mahsur hun aaram-e-husn-e-yar mein
ek hifazat si hai mujh ko jism ki mahkar mein
yaad aur maujud donon ki haqiqat is mein hai
gham ki taqat ko ghalat karne ki himmat is mein hai
sehr itne hain jamal-e-mehrban-e-yar mein
jitne is sarma ki barish ke hasin asrar mein
Nazm
Mausam-e-sarma ki barish ka ye pahla roz hai
Muneer Niyazi