ek maulwi sahab se kaha main ne ki kya aap
kuchh haalat-e-europe se KHabar-dar nahin hain
aamada-e-islam hain london mein hazaron
har chand abhi mail-e-izhaar nahin hain
taqlid ke phandon se hue jate hain aazad
wo log bhi jo daKHil-e-israr nahin hain
jo nam se islam ke ho jate hain barham
un mein bhi tassub ke wo aasar nahin hain
afsos magar ye hai ki waiz nahin paida
ya hain to ba-qaul aap ke din-dar nahin hain
kya aap ke zumre mein kisi ko nahin ye dard
kya aap bhi us ke liye tayyar nahin hain
jhalla ke kaha ye ki ye kya su-e-adab hai
kahte ho wo baaten jo saza-war nahin hain
karte hain shab-o-roz musalmanon ki takfir
baiThe hue kuchh hum bhi to be-kar nahin hain
Nazm
Maulwiyon ka shaghl-e-takfir
Shibli Nomani