ai hasin sahil magar sota hai tu
tere husn-e-be-KHabar par meri bedari nisar
mere qatron ki jabin
muztarib sajdon ki duniya-e-niyaz
aastan naz par zauq-e-ibaadat ka hujum
dekh larzan sans
teri did ko aati hun main
gati hui roti hui
aur tu
iztirar-e-fitrat-e-simab ka rang-e-ada
teri is shan-e-taghaful par fida
sota hai tu
dard-e-ulfat ki asir
teri reton ko agar main bosa dun
hai yahi ek aarzu
ek jumbish ek nigah
ek sarsarahaT ek aah
ai mere dil ki dewta
mere aaine se mashur-e-jamal
tamtama uThte hain tare
gham se ho jate hain dam-bhar ke liye
munakis hai mere daman mein farogh-e-mahtab
KHosha-e-parwin ki hai shadab-e-KHun-e-aftab
paniyon mein lahlahata hai ajab andaz se
husn-e-aiman ki bahaar
yaad hai chashm-e-kalim
mere dil ke dewta
sone ko hun
ek jumbish ek nigah
ek sarsarahaT ek aah
ai mere dil ke dewta
Nazm
Mauj-e-dariya
Tasadduq Husain Khalid