wo afsane kiya hai chand taron ka safar jin mein
ye duniya ek dhundli gend aati hai nazar jin mein
wo jin mein mulk-e-barq-o-baad tak tasKHir hota hai
jahan ek shab mein sone ka mahal tamir hota hai
achhute-sahilon ke wo sahar-alud virane
tilismi-qasr mein gumnam shahzadi ke afsane
wo afsane jo raaten chand ke barbat pe gati hain
wo afsane jo subhen ruh ke andar jagati hain
faza karti hai jin mauhum afsanon ki tamiren
bhaTakte abr mein jin ki milin mubham si taswiren
sar-e-sahil jo bahti shama ki lau gungunati hai
dimagh o dil mein jin se ek kiran si dauD jati hai
wo afsane jo dil ko be-kahe mahsus hote hain
jo honTon ki hasin gulnar mehrabon mein sote hain
kisi ki nargis-e-sharsar ke mubham se afsane
kisi ki zulf-e-ambar-bar ke barham se afsane
wo jin ko is tarah kuchh jumbish-e-mizhgan sunati hai
ki jaise KHwab mein bhuli hui ek yaad aati hai
raha hun gum inhi mauhum afsanon ki basti mein
inhi dilkash magar gumnam rumanon ki basti mein
kisi ne toD Dala ye tilism-e-kaif-o-KHwab aaKHir
meri aankhon ke aage aae shamshir o shabab aaKHir
Nazm
Mauhum afsane
Jaan Nisar Akhtar