mere KHwabon ke jharokon ko sajaane wali
tere KHwabon mein kahin mera guzar hai ki nahin
puchh kar apni nigahon se bata de mujh ko
meri raaton ke muqaddar mein sahar hai ki nahin
chaar din ki ye rifaqat jo rifaqat bhi nahin
umr bhar ke liye aazar hui jati hai
zindagi yun to hamesha se pareshan si thi
ab to har sans giran-bar hui jati hai
meri ujDi hui nindon ke shabistanon mein
tu kisi KHwab ke paikar ki tarah aai hai
kabhi apni si kabhi ghair nazar aai hai
kabhi iKHlas ki murat kabhi harjai hai
pyar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi
tu bata de ki tujhe pyar karun ya na karun
tu ne KHud apne tabassum se jagaya hai jinhen
un tamannaon ka izhaar karun ya na karun
tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin
meri raaten teri KHushbu se basi rahti hain
tu kahin bhi ho tere phul se aariz ki qasam
teri palken meri aankhon pe jhuki rahti hain
tere hathon ki hararat tere sanson ki mahak
tairti rahti hai ehsas ki pahnai mein
DhunDti rahti hain taKHil ki banhen tujh ko
sard raaton ki sulagti hui tanhai mein
tera altaf-o-karam ek haqiqat hai magar
ye haqiqat bhi haqiqat mein fasana hi na ho
teri manus nigahon ka ye mohtat payam
dil ke KHun karne ka ek aur bahana hi na ho
kaun jaane mere imroz ka farda kya hai
qurbaten baDh ke pasheman bhi ho jati hain
dil ke daman se lipaTti hui rangin nazren
dekhte dekhte anjaan bhi ho jati hain
meri darmanda jawani ki tamannaon ke
muzmahil KHwab ki tabir bata de mujh ko
tere daman mein gulistan bhi hain virane bhi
mera hasil meri taqdir bata de mujh ko
Nazm
Mata-e-ghair
Sahir Ludhianvi