maula teri gali mein
sardi baras rahi thi
shayad isi sabab se
mastana hijDa bhi
wisky pahan ke nikla
tennis ke baal
kasti angiya mein
ghus-ghusa ke
pistan ban gae the
shahwat ke surKH Dore
surma lagane wali
aankhon mein tan gae the
ek dam se
chalte chalte
us ne kamar ke jhaTke se
rah chalne wale
shohdon, haram-KHoron
se iltifat manga
aur dawat-e-nazar di
us ke zaKHim
kulhon ne
aag aur lazzat
KHali dilon mein bhar di
us ne hatheliyon ke gadde
ragaD ragaD ke
wo taliyan uDain
mehndi ke rang
titli ban ke hawa mein
apne par taulne lage the
phir jaan-dar honTon
se pan-dar bose
chhan chhan chhalak chhalak ke
har manchali nazar mein
ras gholne lage the
wo aaj lahr mein tha
missi ki chhab dikha ke
nathane phula phula ke
ungli nacha nacha ke
us ne maze mein aa ke
hans kar kaha ki salo
main to janam janam se
apne hi aansuon mein
Duba hua paDa hun
shayad zamir-e-alam ke
tang maqbare mein
zinda gaDa hua hun
Nazm
Mastana hijDa
Saqi Faruqi