chandni raat ke hanste hue KHwabon ki tarah
nuqrai jism ka shadab gulistan le kar
shoKH aankhon ke chhalakte hue paimanon mein
mujh tahi-dast ke aalam ka darman le kar
aaj tu jin ko bujhane ke liye aai hai
unhin shoalon se mere dil ne jila pai hai
unhin shoalon ki tab-o-tab hai jis ne ab tak
mere idrak ko be-soz nahin rakkha hai
jabr ki chhanw mein parwan chaDha hun phir bhi
main ne insan ki azmat pe yaqin rakkha hai
aise shoalon ki tapish teri panahon mein kahan
aur ye soz-e-yaqin teri nigahon mein kahan
unhin shoalon ki tamazat ka sahaara le kar
barbariyyat ke har aiwan se Takraya hun
har kaDe waqt mein sangin chaTanon ki tarah
tund haalat ke tufan se Takraya hun
tu kahan aur meri jurat-e-be-bak kahan
tujh ko is kahish-e-jaan-soz ka idrak kahan
ab yahi shoale meri fikr-o-nazar mein Dhal kar
husn-e-ehsas ka shahkar nazar aate hain
is tamaddun ki ghani raat ke sannaTe mein
subh ki tarah ziya-bar nazar aate hain
aur tu kahti hai is subah ka sauda kar lun
dil mein in shoalon ke badle tere jalwe bhar lun
jab bhaDak uTThenge har sard-o-siyah sine mein
yahi shoale dil-e-afaq ko lau baKHshenge
tira-o-tar dimaghon ko bujhe chehron ko
azm-o-ummid ki gati hui zau baKHshenge
aur ye zau hi banegi tere jalwon ka kafan
aag ho jaega is se tera shadab-e-chaman
mere aalam ka darman teri aankhon mein nahin
apne ehsas ko sine mein tapan rakkhunga
aaj tak main ne jise shola-fishan rakkha hai
ab bhi wo aag yunhi shola-fishan rakkhunga
mujh ko ehsas hai lekin tujhe ehsas nahin
tere daman ki hawa mere liye ras nahin
Nazm
Maslahat
Naresh Kumar Shad