اردو हिंदी
Masiha farisi zamana | Shaahi Shayari
masiha farisi zamana

Nazm

Masiha farisi zamana

Anwar Fitrat

;

masiha
ki jis ke dahan mein zaban hi nahin thi

bhala kaise andhon ko tabligh karta
ki aayat basarat ki muhtaj hai

farisi
ki samea the bina nahin the

bhala kis tarah se ishaara samajhte
samaat ka haikal aawaz aawaz-e-but-kada hai

zamana
ki bina bhi aur natiq bhi hai

ye sab kuchh kahan manta hai
saliben banane ka fan jaanta hai