mere dost, mere KHair-KHwah
mere islah ki gharaz se
waqtan-fawaqtan apne qimti mashwaron se nawazte rahte hain
wo ye kaam puri zimmedari se
razakarana buniyaad par karte hain
agar main un ke mashwaron par amal shurua kar dun
to mumkin hai ye log
mujhe mashware dene se baz aa jaen
main apne KHair-KHwahon ke diye hue
mashwaron ke lifafe
ek almari mein Dalta rahta hun
jo bhar chuki hai
main jaanta hun
mashware dena mere KHair-KHwahon ka haq hai
aur un par amal na karna meri kotahi
mashwaron ka ambar ab is qadar baDh chuka hai
ki mujhe ek nai almari KHaridna hogi
ya phir apne KHair-KHwahon ke qimti mashwaron par
amal ka aaghaz
mere dost mere KHair-KHwah
meri islah ki gharaz se
waqtan-fawaqtan mujhe apne qimti mashwaron se nawazte rahte hain
lekin koi meri madad karne ko tayar nahin
Nazm
Mashwaron se bhari almari
Shaukat Abidi