tu chhin gaya to laga jaise
lakiren meri hatheli ke kaghaz se gir gai hain
aur hath kafan se zyaada
safed ho gae hain
ab jaane kaun se lamhe ki pur-kar
lainon ki ibarat dobara likhe
main ne jit udhaar to nahin mangi thi
hijr kisi zalim chaudhari ki tarah
tamam wasl ka anaj uTha kar le gaya hai
aur bhuk jism pe baalon ki tarah ugne lagi hai
waqt se mera mazaq kabhi nahin raha
phir jaane kyun
sab ye mujh se kisi bahut qaribi dost ki tarah
khelta rahta hai
tere aansu meri aankhon ko
nargis ka saunp kar gae hain
jaane surKH gulab ka zaiqa binai kab chakkhe
suno
raste abhi apne musafir bhule nahin
lauT aao
warna malum hai tumhein
ab naya ghar bante der nahin lagti
raste sukDi hui kaliyan
aur khet sahn banne se pahle chale aao
ki tawil duriyan
apne mehwar se haTne ke mutaradif hain
aur madar se nikle hue chand
ek din aKHbar ki surKHi ban kar
baqi raddi ke bhaw bikte hain

Nazm
Mashwara
Saleem Figar