wahi dariya
jawan rangin nazuk machhliyon ka
hai bichhauna oDhna
ye machhliyan bholi
isi mein zinda rahna chahti hain
aur bahao ke muKHalif tairne ki
aarzu bhi dil mein rakhti hain
magar dariya
unhen KHashak ki surat baha kar
ek din pur-shor kaf-alud pur-haibat samundar ke hawale karne wala hai
yahi hota raha hai
to kya dariya yahi karta rahega
Nazm
Mashriqi laDkiyon ke nam ek nazm
Hasan Akbar Kamal