1
dur ja kar qarib ho jitne
hum se kab tum qarib the itne
ab na aaoge tum na jaoge
wasl-e-hijran baham hue kitne
2
chand nikle kisi jaanib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka
daulat-e-lab se phir ai KHusraw-e-shirin-dahanan
aaj arzan ho koi harf shanasai ka
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan
tazkira chheDe teri pairahan-arai ka
sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan
phir nazar aae saliqa teri ranai ka
ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan
koi wada koi iqrar masihai ka
saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka
3
kab tak dil ki KHair manaen kab tak rah dikhlaoge
kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge
bita did ummid ka mausam KHak uDti hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka baadal kab barkha barsaoge
ahd-e-wafa ya tark-e-mohabbat jo chaho so aap karo
apne bas ki baat hi kya hai hum se kya manwaoge
kis ne wasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat Dhali
gesuon wale kaun the kya the un ko kya jatlaoge
'faiz' dilon ke bhag mein hai ghar bharna bhi luT jaana bhi
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraoge
Nazm
Marsiye
Faiz Ahmad Faiz