udas yaadon ki muzmahil raat bit bhi ja 
ki meri aankhon mein ab lahu hai na KHwab koi 
main sab diye taq-e-arzu ke bujha chuka hun 
tu hi bata ab 
ki marg-e-mahtab o KHun-e-anjum pe nazr kya dun 
na mera mazi na mera farda 
bikhar gai thi jo zulf kab ki sanwar chuki hai 
aur aane wali sahar bhi aa kar guzar chuki hai 
udas yaadon ki muzmahil raat bit bhi ja!
        Nazm
Marsiya
Obaidullah Aleem

