mujh ko apni maut ki dastak ne zinda kar diya hai
dauDta phirta hun
sare kaam nipTane ki jaldi hai
pahaDon aur jhilon ki KHamoshi se
qadimi git sunne hain purane dastani bhed lene hain
daraKHton se numu-kari ki babat puchhna hai
nit-nai shaklen banate baadalon ko dekhna hai
KHush-nawa achchhe parindon se
uDan-phal ka pata malum karna hai
urusi bel ke phulon ko chhuna hai
dar-o-diwar se baaten bhi karni hain
abhi kitne mulaqi muntazir hain
ek lambi list hai aankhon mein nadida nazaron ki
fishaar-e-KHun baDhta ja raha hai
ab kisi lamhe ragen phaTne ka KHatra hai
magar masruf hun sab kaam nipTane ki jaldi hai
samundar ne bulaya hai
jazire aur sahil bhi
kai qarnon se mujh ko yaad karte hain
machhere git gate bastiyon ko lauTte
mujh ko bahut hi hanT karte hain
kisi din jaunga milne
KHazanon ko ugalne ke liye
betab hain raqbe tilismi sar-zaminon ke
safar ke raste malum hain
naqshe purane kaTh ke sanduq mein mahfuz hain sab
dew bani bhi samajhta hun
magar masruf hun
bachchon ke kitne kaam baqi hain
kitaben copiyan school ke kapDe nae baste
khilaune baT rocket
aur bahut si an-kahi chizen
KHaridunga to KHush honge
magar masruf hun sab kaam nipTane ki jaldi hai
ragon mein KHun ki raftar baDhti ja rahi hai
zindagi par ek junun-e-marg tari hai
bahut masruf hun
sarpaT likhe jata hun nazmen
mujh ko apni maut ki dastak ne zinda kar diya hai!!
Nazm
Marg-pech
Naseer Ahmad Nasir