اردو हिंदी
Marg-e-soz-e-mohabbat | Shaahi Shayari
marg-e-soz-e-mohabbat

Nazm

Marg-e-soz-e-mohabbat

Faiz Ahmad Faiz

;

aao ki marg-e-soz-e-mohabbat manaen hum
aao ki husn-e-mah se dil ko jalaen hum

KHush hun firaq-e-qamat-o-ruKHsar-e-yar se
sarw-o-gul-o-saman se nazar ko sataen hum

virani-e-hayat ko viran-tar karen
le naseh aaj tera kaha man jaen hum

phir oT le ke daman-e-abr-e-bahaar ki
dil ko manaen hum kabhi aansu bahaen hum

suljhaen be-dili se ye uljhe hue sawal
wan jaen ya na jaen na jaen ki jaen hum

phir dil ko pas-e-zabt ki talqin kar chuken
aur imtihan-e-zabt se phir ji churain hum

aao ki aaj KHatm hui dastan-e-ishq
ab KHatm-e-ashiqi ke fasane sunaen hum