sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho gareban-chaak hun
main to andoh-e-samaat ke jarasimon se
bilkul pak hun
nala-e-bebak hun
sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki binai gai
bujh gaya har rauzan-e-diwar chup hai raushni
nim-wa hai tirgi
ye shaguft-e-ghuncha-e-lab ki sada
wo hasin qaus-e-quzah rangin-qaba
dhaDkanon ka silsila
sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki sari ungliyan patthar ki hain
kyun qalam ke KHushk honTon se
koi kaghaz chhuen
ism-e-azam ki likhen
sab dariche band hain tum kuchh kaho
tum samajhte ho ki KHwabon mein KHayalon ko liye
laDkhaDaenge hamesha wasl ki KHwahish mein
yunhi bin piye
apne honTon ko siye
main samajhta hun ai mere chaara-gar
marg-e-gul se peshtar
ek siyah shoala sa karta hai tawaf-e-bu-e-jaan
lekin ai jaan-e-jahan
chhu angusht-e-shahadat se koi nok-e-sinan
main likhunga tere chehre par wo anmiT dastan
zindagi sach bol de
jo sab dariche khol de
zindagi sach bol de
Nazm
Marg-e-gul se peshtar
Iqbal Haider