اردو हिंदी
Mard---aurat | Shaahi Shayari
mard---aurat

Nazm

Mard---aurat

Shahnaz Nabi

;

kab kahan se chali thi pata nahin
jannat ne Thukraya

ki aadam ne pukara
chaaron or ghana jangal

har shaKH hath baDhate hi
KHud mein simaT jati thi

jaane kab be-satr hui
kis ne sharm-gah ki laj rakhi

panw ke niche an-ginat rahen
be-hisab nasheb o faraaz

donon taraf sawal o jawab ki aTuT KHwahishen
ilzamat ke tabaadale ki tayyariyan

barsaha-baras ki khoj ka bas ek hi anjam
fael maful

qudarat fitrat
isbaat nafi