zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga
sukut tha parda-dar jis ka wo raaz ab aashkar hoga
guzar gaya ab wo daur-e-saqi ki chhup ke pite the pine wale
banega sara jahan mai-KHana har koi baada-KHwar hoga
kabhi jo aawara-e-junun the wo bastiyon mein phir aa basenge
barahna-pai wahi rahegi magar naya KHarzar hoga
suna diya gosh-e-muntazir ko hijaz ki KHamushi ne aaKHir
jo ahd sahraiyon se bandha gaya tha phir ustuwar hoga
nikal ke sahra se jis ne ruma ki saltanat ko ulaT diya tha
suna hai ye qudsiyon se main ne wo sher phir hoshiyar hoga
kiya mera tazkira jo saqi ne baada-KHwaron ki anjuman mein
to pir-e-mai-KHana sun ke kahne laga ki munh-phaT hai KHwar hoga
dayar-e-maghrib ke rahne walo KHuda ki basti dukan nahin hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar-e-kam-ayar hoga
tumhaari tahzib apne KHanjar se aap hi KHud-kushi karegi
jo shaKH-e-nazuk pe aashiyana banega na-paedar hoga
safina-e-barg-e-gul bana lega qafila mor-e-na-tawan ka
hazar maujon ki ho kashakash magar ye dariya se par hoga
chaman mein lala dikhata phirta hai dagh apna kali kali ko
ye jaanta hai ki is dikhawe se dil-jalon mein shumar hoga
jo ek tha ai nigah tu ne hazar kar ke hamein dikhaya
yahi agar kaifiyat hai teri to phir kise e'tibar hoga
kaha jo qumri se main ne ek din yahan ke aazad pa-ba-gil hain
tu ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdar hoga
KHuda ke aashiq to hain hazaron banon mein phirte hain mare mare
main us ka banda banunga jis ko KHuda ke bandon se pyar hoga
ye rasm-e-bazm-e-fana hai ai dil gunah hai jumbish-e-nazar bhi
rahegi kya aabru hamari jo tu yahan be-qarar hoga
main zulmat-e-shab mein le ke niklunga apne dar-manda karwan ko
sharar-fishan hogi aah meri nafas mera shola-bar hoga
nahin hai ghair-az-numud kuchh bhi jo muddaa teri zindagi ka
tu ek nafas mein jahan se miTna tujhe misal-e-sharar hoga
na puchh 'iqbaal' ka Thikana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar-e-rah-guzar baiTha sitam-kash-e-intizar hoga
Nazm
March 1907
Allama Iqbal